Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu nahin hai to meri sham akeli chup hai

Sabiha Saba

tu nahin hai to meri sham akeli chup hai

Sabiha Saba

MORE BYSabiha Saba

    nahīñ hai to mirī shaam akelī chup hai

    yaad meñ dil ye vīrān havelī chup hai

    har taraf thī baḌī mahkār mere āñgan meñ

    apne phūloñ ke liye merī chamelī chup hai

    bolte haath bhī ḳhāmosh hue baiThe haiñ

    ik muqaddar tarah merī hathelī chup hai

    bhed khultā nahīñ kaisī udāsī chhā.ī

    buujh saktā nahīñ koī vo pahelī chup hai

    itnā hañstī thī ki aañsū nikal aate the 'sabā'

    ye na.ī baat bahāroñ sahelī chup hai

    tu nahin hai to meri sham akeli chup hai

    yaad mein dil ki ye viran haweli chup hai

    har taraf thi baDi mahkar mere aangan mein

    apne phulon ke liye meri chameli chup hai

    bolte hath bhi KHamosh hue baiThe hain

    ek muqaddar ki tarah meri hatheli chup hai

    bhed khulta hi nahin kaisi udasi chhai

    bujh sakta nahin koi wo paheli chup hai

    itna hansti thi ki aansu nikal aate the 'saba'

    ye nai baat bahaaron ki saheli chup hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now